fareb-e-ulfat ki dastan mein asar ki ummid hi kahan hai

By jurm-mohammadabadiJuly 31, 2020
fareb-e-ulfat ki dastan mein asar ki ummid hi kahan hai
abhi to mujh ko isi mein shak hai yaqin yaqin hai guman guman hai
mujhi tak un ki jafa na samjho ye imtihan hai wo imtihan hai
wahin qayamat ka samna hai wafa ki manzil jahan jahan hai


nisab-e-ulfat se be-khabar hai sanad nahin bul-hawas ka dawa
jo lafz meri zaban se nikle wahi mohabbat ki dastan hai
kahan pahunch ki aarzu hai tumhaare naqsh-e-qadam pe chal kar
tum apne dil se pata lagao meri tamanna ki had kahan hai


fareb ban kar nashat-e-dil ka rahega kab tak ye aish-e-rafta
badal chuka karwaten zamana meri nazar mein wahi saman hai
idhar umangon ki lahar dil mein udhar jawani ki khud-numai
pade hain ek kashmakash mein donon mazaq-e-fitrat ka imtihan hai


tumhaari ghaflat-shiariyon ne wo gul khilae ki rang badla
qafas ki buniyaad rakhne wale khizan ke qabze mein aashiyan hai
palat gaya 'jurm' rukh hawa ka hain aise aasar ab huwaida
bahaar aae na baad jis ke chaman mein wo mahshar-e-khizan hai


11222 viewsghazalEnglish