fursat ek dam ki hai jun habab pani yan

fursat ek dam ki hai jun habab pani yan
khak ser ho kije sair-e-zindagani yan

ab to munh dikha apna kash ke tu ai piri
mil gai teri khatir khak mein jawani yan

kya ye pairahan tan ka jun habab chamke tha
bandhi hai hawa meri tu ne na-tawani yan

waqt-e-girya mauzun ho kyun na aah ka misra
rafta rafta ashk apna ban gaya fughani yan

jaan-e-man mujhe har dam tera pas-e-khatir hai
is liye main karta hun dam ki pasbani yan

us ke tir-e-mizhgan se ho gaya jo dil chhalni
besha-e-niyastan ki hum ne khak chhani yan

gher tu ne jame ka be-tarah badhaya hai
ab zamin napega daur-e-asmani yan

aage us ki qamat ke ek din jo akda tha
khub sa bana sidha sarw-e-bostani yan

yar ki gali main tu ja ke baith mat rahna
haal par mere rakhna chashm-e-mehrbani yan

qasid-e-sarishk apni tujh se hai gharaz itni
khae gar wahan khana pijo aa ke pani yan

khar se khalish rakhna ai 'nasir' beja hai
hai ye aabla-pai wajh-e-sar-girani yan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close