gesu ko tere ruKH se baham hone na denge

By saghar-nizamiNovember 15, 2020
gesu ko tere rukh se baham hone na denge
hum raat ko khurshid mein zam hone na denge
ye dard to aaram-e-do-alam se siwa hai
ai dost tere dard ko kam hone na denge


mafhum badal jaega taslim-o-raza ka
ab hum sar-e-taslim ko kham hone na denge
sarsar ko sikhaenge latafat ka qarina
phulon pe hawaon ke sitam hone na denge


ai katib-e-taqdir hamari bhi raza puchh
yun nala-e-taqdir raqam hone na denge
jab tak hai dil-e-zar mein ek qatra-e-khun bhi
kam-martaba-e-lauh-e-o-qalam hone na denge


jo zinda o hassas buton ki hai amanat
us sajde ko hum nazr-e-haram hone na denge
uth jaenge jun baad-e-saba bazm se teri
tujh ko bhi khabar teri qasam hone na denge


lakhon ka sahaara hai yahi jam-e-sifalin
saghar ko kabhi saghar-e-jam hone na denge
56129 viewsghazalEnglish