ghair ulfat ka raaz kya jaane

By jaleel-manikpuriNovember 2, 2020
ghair ulfat ka raaz kya jaane
lutf-e-naz-o-niyaz kya jaane
nim-jaanon pe kya guzarti hai
nargis-e-nim-baz kya jaane


mere tul-e-shab-e-judai ko
teri zulf-e-daraaz kya jaane
pak-bazan-e-mai-kada ka maqam
jo na ho pak-baz kya jaane


dil hai us parde mein koi warna
shama soz o gudaz kya jaane
hum jo masti mein girte padte hain
zahid aisi namaz kya jaane


rah-e-ulfat na jis ne tai ki ho
wo nasheb-o-faraaz kya jaane
jis ke dil mein na soz ho wo 'jalil'
kaif-e-awaz-e-saz kya jaane


49312 viewsghazalEnglish