gham ke sunsan bayaban se nikalta hi nahin
By najma-shaheen-khosaNovember 10, 2020
gham ke sunsan bayaban se nikalta hi nahin
dil mera dard ke tufan se sambhalta hi nahin
ishq ki aatish-e-khamosh hai kab se raushan
magar ehsas ka shoala hai ki jalta hi nahin
har taraf dhund hai ashkon ki farawani se
dil-e-betab sarabon se bahalta hi nahin
talkhiyan ahl-e-zamana se wo jheli hain na puchh
dil mera fasl-e-bahaaran mein machalta hi nahin
kab se haalat-e-zamana hain digar-gun lekin
dil ka mausam kisi haalat mein badalta hi nahin
kya kahun darpai-e-azar hai duniya 'shahin'
aadmi qaid-e-zamana se nikalta hi nahin

88331 viewsghazal • English