gham ki bhaTTi mein ba-sad-shauq utar jaunga

gham ki bhatti mein ba-sad-shauq utar jaunga
tap ke kundan sa main ek roz nikhar jaunga

zindagi dhang se main kar ke basar jaunga
kaam neki ke zamane mein main kar jaunga

mar ke jaana hai kahan mujh ko nahin ye malum
rah ke duniya mein koi kaam to kar jaunga

gham utha lunga jo bakhshega zamana mujh ko
tere daman ko to khushiyon se main bhar jaunga

dekhta jaunga mud mud ke tumhaari jaanib
chhod kar jab main tumhaara ye nagar jaunga

khak par girne se mit jaegi hasti meri
ban ke aansu tere daman pe thahar jaunga

lakh be-rang ho taswir jahan ki lekin
rang taswir ke khake mein main bhar jaunga

tu ne ek bar haqarat se jo dekha ai dost
main zamane ki nigahon se utar jaunga

main to badhta hi rahunga rah-e-haq mein ai 'nur'
kyun samajhti hai ye duniya ki main dar jaunga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close