gham se jo aashna nahin hota aadmi kaam ka nahin hota aap ham-gam jab nahin hota rasta rasta nahin hota har kaman tir-zan nahin hoti har nishana khata nahin hota yun to har shai bichhad ke rahti hai ek tera gham juda nahin hota baat ka izn mil to jata hai baat ka hausla nahin hota husn walon ki aankh mein 'mufti' ehtiram-e-wafa nahin hota