ghanim se bhi adawat mein had nahin mangi

By ahmad-farazOctober 23, 2020
ghanim se bhi adawat mein had nahin mangi
ki haar man li lekin madad nahin mangi
hazar shukr ki hum ahl-e-harf-e-zinda ne
mujaviran-e-adab se sanad nahin mangi


bahut hai lamha-e-maujud ka sharaf bhi mujhe
so apne fan se baqa-e-abad nahin mangi
qubul wo jise karta wo iltija nahin ki
dua jo wo na kare mustarad nahin mangi


main apne jama-e-sad-chaak se bahut khush hun
kabhi aba-o-qaba-e-khirad nahin mangi
shahid jism salamat uthae jate hain
jabhi to gor-kanon se lahad nahin mangi


main sar-barahna raha phir bhi sar-kashida raha
kabhi kulah se tauqir-e-qad nahin mangi
ata-e-dard mein wo bhi nahin tha dil ka gharib
'faraaz' main ne bhi bakhshish mein had nahin mangi


93954 viewsghazalEnglish