
ghar se nikla to mulaqat hui pani se kahan milti hai khushi itni farawani se khush-libasi hai badi chiz magar kya kijiye kaam is pal hai tere jism ki uryani se samne aur hi diwar o shajar pata hun jag uthta hun agar khwab-e-jahanbani se umr ka koh-e-giran aur shab-o-roz mere ye wo patthar hai jo katta nahin aasani se sham thi aur shafaq phut rahi thi 'sarwat' ek raqqasa ki jalti hui peshani se
This is a great woh pehli mulaqat shayari. True lovers of libas shayari will love this. Please share if you liked this!!!