gharon mein yun ujala ho gaya hai

By shabana-zaidi-shabeenNovember 18, 2020
gharon mein yun ujala ho gaya hai
har ek zarra sharara ho gaya hai
nahin sunta koi shor-e-qayamat
zamana kitna bahra ho gaya hai


qaside ki nai tarif likkho
taaruf ab qasida ho gaya hai
bahut unchi hui diwar dil ki
ajab us ghar ka naqsha ho gaya hai


shaben gar sach kaho to jaan jao
ki kyun dil aaj tanha ho gaya hai
94459 viewsghazalEnglish