ghazab mein shishagar hai aur main hun mera shishe ka ghar hai aur main hun nigah-e-tez-tar hai aur main hun mohabbat ka asar hai aur main hun sukun mujh ko mayassar kis tarah ho ki aabaadi mein ghar hai aur main hun kab aae manzil-e-maqsud dekho takhayyul ka safar hai aur main hun bataun kya mashaghil zindagi ke kisi ka sang-e-dar hai aur main hun na kuchh zad-e-safar hai aur na tosha safar be-baal-o-par hai aur main hun bahut hai kar-ha-e-zist lekin hayat-e-mukhtasar hai aur main hun takhayyul mein talatum sa bapa hai ye dariya zor par hai aur main hun huzuri ki ho kya tadbir 'khawar' wahi darban-e-dar hai aur main hun