girya-e-shab mujhe shab-bhar ko jagata bhi nahin aur wo hai ki mere khwab mein aata bhi nahin itna sauda bhi nahin hai ki dar-e-sang pe jaen bar-e-sar hai ki mera shana uthata bhi nahin dil-e-viran ko kaha us ne laga kar thokar ab koi aisi jagah khak udata bhi nahin itni fursat hi kahan us ko mujhe khak kare aur phir barq se mera koi nata bhi nahin kahna hota hai jo sab kah bhi wo deta hai magar apne she'ron mein mera zikr wo lata bhi nahin us ko ma'lum hai ashkon ki tapish ka 'alam is liye mujh ko nigahon se giraata bhi nahin