gulon ko tazgi taron ko tu ne dilkashi de di mere dil ki kali ko jaane kyon afsurdagi didi ba-qadr-e-zarf us ne aagahi-o-gumrahi de di khudi de di kisi ko aur kisi ko be-khudi de di zamana kuchh kahe ai dost lekin shukriya tera koi to maslahat thi jo mujhe diwangi de di meri nakaamiyan hi kaam aain rah-e-ulfat mein ghubar-e-karwan ne himmat-e-manzil-rasi de di na puchh ai ham-nashin aazurda-e-anjam-e-ishrat ho gham is ka kar raha hun us ne kyon mujh ko khushi de di kisi ki pursish-e-khamosh bhi ek husn-e-pursish tha ki jis ne phir hamari zindagi ko zindagi de di haqiqat mein junun-e-ishq mearaj-e-mohabbat hai use sab kuchh diya tu ne jise diwangi de di dam-e-akhir jo dam bhar ko chale aaoge baalin par to ye samjhunga main lakhon baras ki zindagi de di zarurat iltijaon ki na hajat hai duaon ki 'shifa' gham kya diya us ne masarrat daimi de di