gulshan-e-ummid yun ujda ki sahra ho gaya us ne aankhen pher lin har su andhera ho gaya mauj-ta-ba-mauj phaili hai bisat-e-kaenat pyas jab dubi samundar aur gahra ho gaya bebasi ki dhup jab khwabon ke chehre par padi aap ki yaadon ka saya aur gahra ho gaya tabish-e-jalwa ki ye ranginiyan kis se kahun meri nazron mein har ek manzar sunahra ho gaya tirgi hi tirgi thi bazm-e-ehsasat mein aap jab aae kiran phuti sawera ho gaya be-haqiqat zindagi ki har haqiqat hai sarab aae thahre aur chale do din basera ho gaya kyon hai ai 'nashad' har-su aaj tera tazkira aisa lagta hai ki shayad koi tera ho gaya