gum ho ke apni zat mein kya bolne lage

gum ho ke apni zat mein kya bolne lage
aisa na ho shikast-e-ana bolne lage

jo karb-o-iztirab ke mani samajh gae
wo log ab ba-rang-e-wafa bolne lage

ehsas-e-kamtari ne badha di mata-e-fikr
jab pasban-e-aql siwa bolne lage

ghairon ko kya kahun unhen ilzam kaise dun
khud hum ko apne log bura bolne lage

ai fikr-e-aql-o-hosh junun se gurez kar
aisi khata na kar ki khata bolne lage

thahregi kaise husn ke chehre pe dilkashi
jab ang ang sharm-o-haya bolne lage

jab bhi hua nafaz-e-shariat ka tazkira
basti mein har taraf se khuda bolne lage

patte gire jo pedon se kal raat tut kar
mahsus yun hua tere pa bolne lage

'hairat' wo kya ghazal hai ki hon ahl-e-fan khamosh
ho baat jab ghazal ka sila bolne lage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close