gurezan tha magar aisa nahin tha ye mera ham-safar aisa nahin tha yahan mehman bhi aate the hawa bhi bahut pahle ye ghar aisa nahin tha yahan kuchh log the un ki mahak thi kabhi ye rahguzar aisa nahin tha raha karta tha jab wo is makan mein to rang-e-baam-o-dar aisa nahin tha bas ek dhun thi nibha jaane ki us ko ganwane mein zarar aisa nahin tha mujhe to khwab hi lagta hai ab tak wo kya tha wo agar aisa nahin tha padegi dekhni diwar bhi ab ki ye sauda-e-sar aisa nahin tha khabar lun ja ke us isa-nafs ki wo mujh se be-khabar aisa nahin tha na jaane kya hua hai kuchh dinon se ki main ai chashm-e-tar aisa nahin tha yun hi nimta diya hai jis ko tu ne wo qissa mukhtasar aisa nahin tha