guzar gaya intizar had se ye wada-e-na-tamam kab tak

guzar gaya intizar had se ye wada-e-na-tamam kab tak
na marne degi mujhe sitamgar teri tamanna-e-kham kab tak

ajal mera itna kaam kar de ki kaam mera tamam kar de
rahe koi zindagi ke hathon jahan mein ruswa-e-am kab tak

wo aae ya wade par na aae bala se qismat jo kuchh dikha de
magar hamein dekhna to ye hai ki aaj hoti hai sham kab tak

ye bahas o takrar chhod de aa ye zohd ka ahd tod de
rahegi ai muddai-e-hurmat sharab-e-duniya haram kab tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close