hadis-e-dil-baran hai aur main hun

By jaikrishn-chaudhry-habeebNovember 2, 2020
hadis-e-dil-baran hai aur main hun
jahan-andar-jahan hai aur main hun
mudawa-e-gham-e-furqat nahin kuchh
bas un ki dastan hai aur main hun


na hamdam hai na koi ham-nawan hai
dil apna raazdan hai aur main hun
bhari mahfil mein bhi baitha hun tanha
mera dard-e-nihan hai aur main hun


nahin dard-ashna jis se kahun kuchh
mere munh mein zaban hai aur main hun
bahaar aai chaman mein aai hogi
yahan daur-e-khizan hai aur main hun


nahin baqi wo naghma aur tarana
bas ek hu ka saman hai aur main hun
na wo saqi na wo ham-mashrab apne
jumud-e-mai-kashan hai aur main hun


kabhi is dil ki zad mein tha zamana
ab ek utri kaman hai aur main hun
nahin mohlat ki dam bhar mud ke dekhun
meri umr-e-rawan hai aur main hun


na khud apna na apne hain shab-o-roz
raza-e-digaran hai aur main hun
hua bezar naqus-e-azan se
fareb-e-in-o-an hai aur main hun


kabhi ka jal chuka go aashiyana
khayal-e-ashiyan hai aur main hun
'habib' ab zindagi ki sham aai
gham-e-sud-o-ziyan hai aur main hun


82556 viewsghazalEnglish