hai dil aaina-saman parda-e-hail se kya matlab

By haidar-husain-fiza-lucknowiJanuary 12, 2022
hai dil aaina-saman parda-e-hail se kya matlab
tera didar aasan hai kisi mushkil se kya matlab
jo bahr-e-ishq mein duba use sahil se kya matlab
mohabbat dil ki khidmat hai use hasil se kya matlab


sukun hai maut harakat zindagi ka nam hai hamdam
yahan raftar hi raftar hai manzil se kya matlab
jo ho barbaad-e-ulfat kyon kisi ka aasra dhunde
dubone lae jo kashti use sahil se kya matlab


agar tum sath ho virana bhi gulshan se badh kar ho
na jis mahfil mein ho tum mujh ko us mahfil se kya matlab
hai chalna rah par teri tajassus mein hun sargardan
mile tera nishan-e-pa mujhe manzil se kya matlab


nigah-e-naz ke nawak chalae ja chalae ja
bala se koi ghayal ho tujhe ghail se kya matlab
'faza' ko hai tamanna tere dar pe jabha-sai ki
na ho jo aastan tera to is manzil se kya matlab


81318 viewsghazalEnglish