hai kaThin rah to gir gir ke sambhaalna hoga
By muneeb-muzaffarpuriMarch 20, 2021
hai kathin rah to gir gir ke sambhaalna hoga
apni manzil ki taraf daud ke chalna hoga
apne khwabon ko haqiqat mein badalne ke liye
khwab-e-ghaflat se kisi taur nikalna hoga
tez aandhi mein jalana hai agar apna charagh
rukh hawaon ka ba-har-haal badalna hoga
ban ke ulfat ki ghata tum yahan barso warna
aag nafrat ki jo bhadkegi to jalna hoga
chup rahoge to na mil paega insaf kabhi
us ko pane ke liye tum ko machalna hoga
zindagi mang rahi hai jo umangon ki dalil
tum ko dariya ki tarah phir se ubalna hoga
tum jo chaho ki ujala ho tere dam se 'munib'
ban ke ek shama yahan tujh ko pighalna hoga

85655 viewsghazal • English