hai nihayat saKHt shan-e-imtihan-e-ku-e-dost

hai nihayat sakht shan-e-imtihan-e-ku-e-dost
zindagi se hath dho len sakinan-e-ku-e-dost

jab nahin pate pata na-waqifan-e-ku-e-dost
dard uth uth ke batata hai nishan-e-ku-e-dost

tang karte hain hamein kyun pasban-e-ku-e-dost
aur hain do-chaar din hum mehman-e-ku-e-dost

na-tawan ye aur manzil ishq ki dushwar-tar
chalte chalte thak na jaen rah-rawan-e-ku-e-dost

aarzu-e-wasl hai ab aur na furqat ka alam
shukr hai aaram se hain khuftagan-e-ku-e-dost

kaun si ja hai asiran-e-mohabbat ke liye
kis liye jaen kahin wabastagan-e-ku-e-dost

ai 'rashid' ulfat mein jazb-e-dil salamat chahiye
dhund hi lenge kisi surat nishan-e-ku-e-dost


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close