hai saza kaisi dawa ke nam par
By naseem-begum-naseemSeptember 27, 2023
hai saza kaisi dawa ke nam par
kasa-lesi hai ata ke nam par
kulfaton mein ho gai lambi hayat
baddua aai dua ke nam par
hain ataon ke salasil aur hum
qaid-e-zindan hai diya ke nam par
khun roti hai hayat-e-na-murad
bigde dil ek peshwa ke nam par
phir rahi hai maut ko le kar waba
dard bikhra hai hawa ke nam par
rahnumaon ki ata mat puchhiye
muflisi mein ek rida ke nam par
mit gai hai apni hasti yun 'nasim'
hukm aae iltija ke nam par
kasa-lesi hai ata ke nam par
kulfaton mein ho gai lambi hayat
baddua aai dua ke nam par
hain ataon ke salasil aur hum
qaid-e-zindan hai diya ke nam par
khun roti hai hayat-e-na-murad
bigde dil ek peshwa ke nam par
phir rahi hai maut ko le kar waba
dard bikhra hai hawa ke nam par
rahnumaon ki ata mat puchhiye
muflisi mein ek rida ke nam par
mit gai hai apni hasti yun 'nasim'
hukm aae iltija ke nam par
63227 viewsghazal • English