hairan hun dil ka haal chhupaun kahan kahan sab jaan gae baat banaun kahan kahan ek chiz zakhm-e-dil hai dikhaun kahan kahan ek baat soz-e-dil hai sunaun kahan kahan do chaar hon maqam to tirath bhi kar bane har ja jo tu rahe to main jaun kahan kahan har shai mein har bashar mein nazar aa raha hai tu sajde mein apne sar ko jhukaun kahan kahan sahra sahi nasib mein par kya meri sat ek musht-e-khak khak udaun kahan kahan mahfil mein mai-kade mein ki bazm-e-raqib mein batla ki tujh se aankh churaun kahan kahan ek dasht-e-la-hisab mein khoya gaya hai dil 'rahbar' ab us ko dhundne jaun kahan kahan