hamari gardish-e-pa raston ke kaam aai kahin pe subh hui aur kahin pe sham aai giran guzarne laga tha sukut-e-mai-khana bahut dinon mein sada-e-shikast-e-jam aai kahan pe tuta tha rabt-e-kalam yaad nahin hayat dur talak hum se ham-kalam aai kisi ko tera tabassum mila kisi ko ada hamare nam teri sohbaton ki sham aai wahin pe barsa hai baadal jahan hawa ne kaha hamari chhat pe to barish barae-nam aai