hamein fursat unhen fursat nahin hai visal-e-yar ki surat nahin hai raha barson se apna ghar samajh kar qafas se kyon kahun ulfat nahin hai nigahen pher lo nazren tumhaari nazar badle meri aadat nahin hai hawas mein zar ki itni be-hayai namak roti mein kya rahat nahin hai na bachchon mein rahi izzat badon ki buzurgon mein bhi wo shafqat nahin hai rahunga khak pe ki khak ka hun falak par udne ki hajat nahin hai achanak rah mein ruk kar wo bole hamein manzil ki ab chahat nahin hai khabar auron se hi ‘munis’ ki le lo tumhein milne ki gar mohlat nahin hai