hamein haara nahin samjho ki hum dil-gir aae hain
By tashna-azmiMarch 2, 2021
hamein haara nahin samjho ki hum dil-gir aae hain
kamanen thin kahin par aur kahin se tir aae hain
nazar bhar dekh lo hum aaj takmil-e-tamanna mein
tumhaare ru-ba-ru pahne hue zanjir aae hain
ye sar hazir hai mera gar salamat aap rah jaen
wagarna muft hathon mein liye shamshir aae hain
ilahi de hamein nusrat ki hum tere bharose par
zaban par aaj rakh kar nara-e-takbir aae hain
jahan par aag barsai thi tum ne aasmanon se
usi basti mein hum kar ke nae tamir aae hain
siyahi dil ki mit jaegi qibla dekh lije hum
labon par muskurahat ki liye jagir aae hain
har ek lahja sawali hai abhi tak bazm mein 'tashna'
guman hota hai jaise lucknow mein 'mir' aae hain

18583 viewsghazal • English