hamein tabir pahle di gai phir KHwab utre

hamein tabir pahle di gai phir khwab utre
kitab-e-zindagi ke is tarah kuchh bab utre

meri aankhon se le le raushni aur nur kar de
kisi qimat pe malik manzar-e-shab-tab utre

khule bartan utha kar rakh diye jo barishon mein
yahan wo rah gae khali wahan sailab utre

tahaif ki jinhen ummid thi wo muntazir hain
musafir aa chuka hai ab zara asbab utre

bahut aansu bahae chahaton ki ibtida mein
badi mushkil se hum par ishq ke aadab utre

samundar ne kahani mukhtasar kar ke kaha bas
bahut girdab utre aur bas girdab utre

khizan se nisbaten itni purani aur phir bhi
unhi logon pe lahje is qadar shadab utre


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close