har ek rang mein yun Dub kar nikharte rahe

By aziz-tamannaiOctober 28, 2020
har ek rang mein yun dub kar nikharte rahe
khutut naqsh-e-musawwir mein rang bharte rahe
khuda bachae bagulon ki zad mein aae hain
wo barg-e-sabz jo mauj-e-hawa se darte rahe


unhin ke panw se lipti hui hai mauj-e-hayat
jo be kanar samundar ke par utarte rahe
kahan thi jurat-e-nazzara-e-jamal-e-sahar
agarche gesu-e-shab raat-bhar sanwarte rahe


wahin bahaar-ba-kaf qafile lapak ke chale
jahan jahan tere naqsh-e-qadam ubharte rahe
agarche basta-e-dam-e-khayal the lekin
kushuda uqda-e-lail-o-nahaar karte rahe


unhin ke sath hai apna safar 'tamannai'
wo khush-khiram jo har daur se guzarte rahe
63282 viewsghazalEnglish