har ghadi ek yahi ehsas-e-ziyan rahta hai aag raushan thi jahan sirf dhuan rahta hai khatm hota hi nahin dasht ka ab sannata koi mausam ho yahan ek saman rahta hai aa gai ras mere dil ki udasi shayad itni muddat bhi kahin daur-e-khizan rahta hai phul khilte hain to murjhae hue lagte hain ek ajab khauf sar-e-shakh-e-guman rahta hai saz ke tar hain tute hue mutrib chup hain ab fazaon mein faqat shor-e-sagan rahta hai rasta chalte hue log thithak jate hain har-qadam jaise tah-e-sang-e-garan rahta hai main bhi ruk jaun magar ruk nahin pata 'alam' ek dariya sa sada mujh mein rawan rahta hai