har jagah aap ne mumtaz banaya hai mujhe waqai qabil-e-ezaz banaya hai mujhe jis par mar mitne ki har ek qasam khata hai wahi shokhi wahi andaz banaya hai mujhe waqai waqif-e-idrak-e-do-alam tum ho tum ne hi waqif-e-har-raaz banaya hai mujhe jis fasane ka abhi tak koi anjam nahin us fasane ka hi aaghaz banaya hai mujhe kabhi naghma hun kabhi dhun hun kabhi lai hun 'aziz' aap ne kitna hasin saz banaya hai mujhe