har mauj-e-hawadis rakhti hai sine mein bhanwar kuchh pinhan bhi

har mauj-e-hawadis rakhti hai sine mein bhanwar kuchh pinhan bhi
rahte hain muqabil hi akasr ishkal bhi dil mein iman bhi

shahron ki chamak ne aaankhon ko dikhlae wo manzar jin ke liye
qadron ka taghayyur kya kahiye chhod aae zaminen dahqan bhi

har samt larazti chikhen hain jalte hue ghunchon, kaliyon ki
puchhe hai zamin-e-gul hum se kya kuchh hai ilaj-e-viran bhi

takhliq-e-ajaib lakh hui fil-asr ye uqda apni jagah
ek harf-e-wafa ki qamat par ye ahd raha hai hairan bhi

thi soch ye manafi, lagne lagi musbat bhi jo nara ban ke yahan
aazadi-e-niswan kah kah kar aurat ko kiya hai uryan bhi

is shahar-e-kasafat mein aa kar ojhal hue aaankhon se manzar
wo ganw ka sabza wo bahr-o-bar wo dhup wo barq-o-baran bhi

ek ishq mein likh likh kar kata har lafz kitab-e-hasti ka
kar dala usi ne zer-o-zabar jo kaam lage tha aasan bhi

gardish mein zamana hai har pal ummid pe duniya hai qaem
kal jin se the sahme sahme se ham, hain aaj wo larzan larzan bhi

asrar-e-zamana ban ban kar aate hain yahan din raat magar
fitrat ke masaib se ab tak haara hai kahan ye insan bhi

ho pae kisi ke hum bhi kahan yun koi hamara bhi na hua
kab thahri kisi ek par bhi nazar kya chiz hai shahr-e-khuban bhi

insan ka samajhna hai baqi, anjam ko pahunche hai duniya
ban jae farishta jab chahe ho jae ye akasr haiwan bhi

darta hai dil-e-kam-fahm yahan kya jaaniye kya ho basti ka
rahte hain ab ahl-e-ulfat ke ham-rah ye nafrat-sazan bhi

aajiz hai ye insan apni hi sunai pe jab jab ghaur kare
hai farq numayan har ek mein phir bhi hai sabhi kuchh yaksan bhi

isbaat-e-tafakkur rakhta hai hum tum mein tawazun bhi lekin
rishton par padi jab barf-ana kaam aae na ahd-o-paiman bhi

mear-e-adab bhi thahre sada ho ahl-e-jahan ke lab par bhi
takhliq ghazal kar aisi ek ho shad ki jis par yazdan bhi

mohtat banaya hoga unhen haalat ne apne ghar ke hi
ab apne hi ghar mein rahte hain 'khalid' jo ba-shakl-e-mehman bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close