har rahguzar mein kahkashan chhoD jaunga

har rahguzar mein kahkashan chhod jaunga
zinda hun zindagi ke nishan chhod jaunga

main bhi to aazmaunga us ke khulus ko
us ke labon pe apni fughan chhod jaunga

meri tarah use bhi koi justuju rahe
az-rah-e-ehtiyat guman chhod jaunga

mera bhi aur koi nahin hai tere siwa
ai sham-e-gham tujhe main kahan chhod jaunga

raushan rahunga ban ke main ek shola-e-nawa
sahra ke aas-pas azan chhod jaunga

phir aa ke bas gae hain barabar ke ghar mein log
ab phir 'amir' main ye makan chhod jaunga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close