har shai aani-jaani hai

By aanand-saroop-anjumOctober 22, 2020
har shai aani-jaani hai
jiwan bahta pani hai
hijr ki raaten wasl ke din
ek dilchasp kahani hai


husn hai fani ishq mera
an-mit hai la-fani hai
jo na-ahl hai un hathon mein
phulon ki nigarani hai


rahte ek gali mein hain
donon ko hairani hai
sab chalte hain dagar dagar
ek dagar an-jaani hai


apna hai phir apna lahu
pani aakhir pani hai
'anjum' teri ghazlon mein
sachche pyar ki bani hai


13853 viewsghazalEnglish