hawa jab kisi ki kahani kahe hai

By gautam-rajrishiOctober 30, 2020
hawa jab kisi ki kahani kahe hai
nae mausamon ki zabani kahe hai
fasana hai jismon ka be-shak zamini
magar ruh to aasmani kahe hai


tujhe chal zara sa main mitha bana dun
samundar se dariya ka pani kahe hai
dasa rat-jagon ne hai khwabon ko phir se
sulagti hui raat-rani kahe hai


laten chand chandi ki bakhshin tujhe ja
widaa leti mujh se jawani kahe hai
hai chadhne lagi phir se dhalti hui umr
teri shirt ye zafrani kahe hai


nai baat ho ab nae git chhedo
guzarti ghadi har purani kahe hai
77205 viewsghazalEnglish