hawa se kaise kahun kya mila bujhane se

By farrukh-adeelOctober 30, 2020
hawa se kaise kahun kya mila bujhane se
main thak gaya hun diye par diya jalane se
use pukar mere dil ki jis ne pichhle baras
kiya tha tark-e-talluq kisi bahane se


to soch khud ki jo tarkash pe aan baitha hai
wo bach sakega kahan tak tere nishane se
gae dinon ki rifaqat ka ye asar hai ki ab
nae dinon mein bhi lagte hain hum purane se


37551 viewsghazalEnglish