hijr-e-jaanan se rihai ka qarina ho gaya sahl marna ho gaya dushwar jina ho gaya jo pari-paikar nazar aaya wo hai zar ka mutia har diram goya sulaiman ka nagina ho gaya kyon na ho aisa uruj-e-nashsha-e-mai saqiya ta falak mauj-e-hawa ka kya hi zina ho gaya wadi-e-dil hai tajalli-gah-e-jaanan raat-din in dinon sina hamara tur-e-sina ho gaya sal bhar se mushaf-e-ru-e-sanam dekha nahin wo rajab kya is rajab ka bhi mahina ho gaya yar ki shamshir-e-abru is qadar hai aab-dar tegh par khajlat se har jauhar pasina ho gaya kaun hai us mah ka jo garm-e-nazzara nahin chashma-e-khurshid bhi ab chashm-e-bina ho gaya khak hai ab aab hi fasl-e-bahaari mein sharab shisha-e-saat bhi mah ka aabgina ho gaya gad gae gulbun zamin mein dekh kar bauna sa qad tha kaf-e-gul mein jo zar goya dafina ho gaya jis tarah madum hote hain sitare subh dam ahd-e-piri mein mera khali khazina ho gaya partaw-e-jaanan hai mere kalbud mein ja-e-ruh aaine ki pusht goya apna sina ho gaya rang-e-pan se sabz sona ban gae kundan se gal mubtazal tashbih hai sone pe mina ho gaya furqat-e-saqi mein aise ban gae hum parsa mahw khatir se khayal-e-jam-o-mina ho gaya hai tasawwur mein jo mahbub-e-ilahi raat-din kaba-e-dil saf ai 'nasikh' madina ho gaya