hikayat-e-husn-e-yar likhna hadis-e-mina-o-jam kahna

hikayat-e-husn-e-yar likhna hadis-e-mina-o-jam kahna
abhi wahi kar-e-ashiqan hai sukut-e-gham ka kalam kahna

ufuq taghayyur ki tez lau se pighal raha hai badal raha hai
magar is ahwal-e-waqai ko likhen na wo mere nam kahna

hazar hathon se main ne jis ko sambhaal rakkha tha zindagi mein
charagh-bar-kaf bisat-e-dil par khadi hui hai wo sham kahna

agar teri aastin-e-tar ko khabar nahin dastan-e-gham ki
zamana unwan-e-taza-tar se suna gaya na-tamam kahna

dhowen mein ek tair-e-nawa-gar ne aatish-e-gul pe jaan de di
rag-e-gulu mein jali hui lai chamak gai zer-e-dam kahna

hum aise jada-taraaz-e-sahra nikal hi aate hain chand aakhir
sukhan ko uslub-e-zindagi ka diya hai hum ne hi nam kahna

kabhi kabhi to lahak sa uthta hai barq-o-baran ki chashmakon mein
kisi ada-e-visal-saman ka khanjar-e-be-niyam kahna

utar gaya dil mein zahr-e-kakul nisar ek sarw-e-dil-satan ke
fusun-e-chaara-gari se guzra mohabbaton ka payam kahna

khayal-e-yaran-e-ku-ba-ku se nazar hai ek matam-e-nazara
dam-e-harifan-e-be-subu se nafas hai be-nang-o-nam kahna

abhi to kuchh log zindagi mein hazar sayon ka ek shajar hain
unhin ke sayon mein qafile kuchh thahar gae be-qayam kahna

khuda tujhe aafiyat ki aabaadiyon mein nauras safir rakkhe
udhar ke diwar-o-dar salamat meri taraf se salam kahna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close