hoti hai tamanna tah-o-baala mere aa ge

By naseem-niyaziJanuary 22, 2022
hoti hai tamanna tah-o-baala mere aa ge
dil hai ki hua jata hai ruswa mere aage
khud-bini khud-arai to hai zeb tujhi ko
juz tere nahin koi bhi aisa mere aage


gham aur khushi sab ko mayassar hai jahan mein
chadhta hai utarta hai ye dariya mere aage
shohrat ki bulandi bhi hai do pal ka tamasha
kis baat pe itraati ye duniya mere aage


duniya bhi tujhi se meri uqba bhi tujhi se
har samt tu hi kaba kalisa mere aage
pahle to sar-e-am mila karte the aur ab
khalwat mein bhi kar lete hain parda mere aage


kahne ka bhi aata nahin har ek ko saliqa
hai ahl-e-nazar ka yahi kahna mere aage
han nam to mai-khwaron mein hai mera bhi saqi
auron ko ziyaada hai zara sa mere aage


10393 viewsghazalEnglish