hum bhi ai dost gham-e-ishq ke mare the kabhi

By mustafa-rahiNovember 10, 2020
hum bhi ai dost gham-e-ishq ke mare the kabhi
hum ne bhi chand hasin lamhe guzare the kabhi
kaun manega kise aaj yaqin aaega
hum bhi duniya ko dil-o-jaan se pyare the kabhi


ab ye aalam hai khalaon mein bhatakti hai nazar
zarre zarre mein nihan chand sitare the kabhi
ab wahi hath hain aur chaak-gareban zalim
jin se din raat tere baal sanware the kabhi


zindagi jin se darakhshan thi mohabbat zinda
usi khakistar-e-dil mein sharare the kabhi
bhulna chahun agar main to bhula bhi na sakun
uff wo lamhe jo tere sath guzare the kabhi


itni zalim to na thi gardish-e-dauran 'rahi'
itne be-bas to na hum ishq ke mare the kabhi
29048 viewsghazalEnglish