hum hain aur unki KHushi hai aaj-kal

By shakeel-badayuniNovember 19, 2020
hum hain aur un ki khushi hai aaj-kal
zindagi hi zindagi hai aaj-kal
gham ka har aalam naya hai in dinon
dil ki har duniya nai hai aaj-kal


un ka zikr un ki tamanna un ki yaad
waqt kitna qimti hai aaj-kal
chand bhi hai sogwar-e-hijr dost
phiki phiki chandni hai aaj-kal


jal rahi hai dil mein sham-e-arzu
gham-kade mein raushni hai aaj-kal
tu hai aur dariya-dili hai saqiya
main hun aur tishna-labi hai aaj-kal


be-qarari karwaton par karwaten
dil ka aalam didani hai aaj-kal
arz-e-gham par muskuraate bhi nahin
barhami si barhami hai aaj-kal


hasil-e-tark-e-mohabbat dekhna
anjuman suni padi hai aaj-kal
dil mein aur mayusiyon mein ai 'shakil'
ittihad-e-bahami hai aaj-kal


46446 viewsghazalEnglish