hum zamin ka aatishin ubhaar dekhte rahe

By quaiser-khalidNovember 13, 2020
hum zamin ka aatishin ubhaar dekhte rahe
sahme sahme se hi bas ghubar dekhte rahe
shohraten
ye daulaten


ye masnaden
milin pa hum
be-niyaz hi rahe
hazar dekhte rahe


aakhirash zamana un ko chhod aage badh gaya
har qadam jo izzat-o-waqar dekhte rahe
un ko phir aman kahan nasib honi thi
ki jo


har maqam se rah-e-farar dekhte rahe
ek ek kar ke qatl ho rahi thi phir bhi hum
apni khwahishon ki ek qatar dekhte rahe
hai muhafiz-e-chaman ka mujrimana taur ye


nuch gai kali kali pa khar dekhte rahe
sab siyah tha kahin na sab safed
phir bhi hum
lail dekhte rahe


nahaar dekhte rahe
bahar apne khol se na aa sake tamam umr
hum darun-e-zat khalfashaar dekhte rahe
hausla na kawishen


amal na rabt-e-asman
hum ki hasraton ka ek mazar dekhte rahe
aaftab o kahkashan
ye chand


tare dur se
raushni ka bil-yaqin madar dekhte rahe
ab gila hai kyun madad ka aasman se
jab ki hum


kayar aise the ki khud pe war dekhte rahe
tere bin hayat ki soch bhi gunah thi
hum qarib-e-jaan tera hisar dekhte rahe
dusron ke haq ki wo ladai lad sakenge kya


wo jo apne aap ko bhi khwar dekhte rahe
'khalid' aise bhi to hain kinare baith kar hi jo
bahar mein chadhaw aur utar dekhte rahe
54214 viewsghazalEnglish