humse jo ahd tha wo ahd-shikan bhul gaya

By pandit-jawahar-nath-saqiNovember 12, 2020
hum se jo ahd tha wo ahd-shikan bhul gaya
apne ushshaq ko wo ghuncha-dahan bhul gaya
qais ka jalwa-e-laila jo hua hosh-ruba
wo sarasima hua najd ka ban bhul gaya


kya karishma ye teri chashm-e-sukhan-go ne kiya
kis ki jaanib tha mera ru-e-sukhan bhul gaya
khar khar-e-gham-e-ulfat ne kiya rah ghalat
tera madhosh-e-nazar rah-e-chaman bhul gaya


nigah-e-shauq ne diwana banaya mujh ko
kuchh khabar apni nahin hai hama-tan bhul gaya
ho gaya hosh-ruba husn-e-fareb-e-alam
nal jo bazi mein laga ishq-e-daman bhul gaya


shauq-o-ram tere jo dekhe hain ghazal-e-rana
chaukdi apni bayaban mein hiran bhul gaya
sair-e-gulzar mein hai mahw-e-tamasha wo gul
bulbul-e-shefta ko ghuncha-dahan bhul gaya


sabza-e-khat ne tere rah mein ghera mujh ko
gharq main ho na saka chah-e-zaqan bhul gaya
mahw hota hi nahin is ka kabhi dil se khayal
yaad karta hi nahin mushfiq-e-man bhul gaya


shahid-e-mast ne sarmast kiya hai 'saqi'
hum wo madhosh hue rang-e-sukhan bhul gaya
95953 viewsghazalEnglish