in ke aariz pe ashkon ke dhaare

in ke aariz pe ashkon ke dhaare
jaise phulon ko shabnam sanware

gham na kar is jahan-e-talab mein
tut jate hain aksar sahaare

tum ne mantiq se ulfat ko samjha
tum hi jite chalo hum hi haare

gham ki zahmat mein kya kuchh na biti
raat kati hai gin gin ke tare

chhod kar mujh ko bahr-e-alam mein
teri kashti gai hai kinare

is ko fakhr-e-mohabbat na kyon ho
'daur' dil mein raha hai tumhaare


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close