is se behtar meri taswir nahin ho sakti

is se behtar meri taswir nahin ho sakti
zat-e-be-aib se taqsir nahin ho sakti

kuchh to hai khas asiri mein latafat warna
sab ko darkar yun zanjir nahin ho sakti

mujh ko dhundla sa koi khwab nazar aaya hai
ab sahar hone mein takhir nahin ho sakti

apni binai se raushan rakho aankhen apni
har kisi ghaar mein tanwir nahin ho sakti

kaisi uljhan hai ki jis shai ki talab hai mujh ko
wo kisi shakhs ki jagir nahin ho sakti

jab qalam hath mein aaya to ye jaana main ne
mujh se haalat meri tahrir nahin ho sakti

ye bharose ki hai buniyaad bhi lazim 'rahat'
yun imarat koi tamir nahin ho sakti


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close