ishq kya hai KHud-faramoshi musalsal iztirab
By saghir-ahmad-saghir-ahsaniNovember 15, 2020
ishq kya hai khud-faramoshi musalsal iztirab
husn kya hai jalwa-arai ba-andaz-e-hijab
ruh muztar dil pareshan chashm hai mahrum-e-khwab
main bahut masrur hun ai ishq tu hai kaamyab
jaan nisaron par tumhaare raaz ye ifsha hua
maut lutf-e-sarmadi hai zist yaksar iztirab
chaak-damani ka gham hai ab na kuchh fikr-e-rafu
kar chuke diwane tum se zindagi ka intisab
gul fasurda hon khas-o-khashak mein baalidgi
baghban aisa to aaya tha na pahle inqilab
do-jahan mein sirf ye hai ishq ki daulat 'saghir'
sina-e-pur-dagh chashm-e-tar dil-e-hasrat-maab

78489 viewsghazal • English