isi se ujDa hua lala-zar hai shayad

isi se ujda hua lala-zar hai shayad
chaman se dur abhi tak bahaar hai shayad

azal se gosh-bar-awaz hai jahan sara
teri sada ka use intizar hai shayad

usi se talib-e-jalwa pe bijliyan na girin
abhi hijab hi mein wo nigar hai shayad

pukarta hai zamana magar nahin sunta
koi samand hawa par sawar hai shayad

dua ko hath uthae hue hai ek bekas
karam ka aap ke umid-war hai shayad

pahunch gaya hai jo ud kar kisi ke daman tak
wo meri khak-e-lahad ka ghubar hai shayad

utha jo dar-e-fana se gaya wo su-e-adam
musafiron ki yahi rahguzar hai shayad

tere karam ne nawaza nahin jo ai saqi
udas isi se tera mai-gusar hai shayad

kalim-e-tur ne dekha tha ai 'tarab' jis ko
usi hasin ka zamana shikar hai shayad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close