itna ghussa kyon karte ho

By sharafat-sameerMay 9, 2022
itna ghussa kyon karte ho
har-dam jhagda kyon karte ho
mana bhul gae ho mujh ko
par ye dawa kyon karte ho


pura din hai phir lad lena
khana thanda kyon karte ho
kar lunga kuchh ulta-sidha
phir kya kahna kyon karte ho


ishq agar karte ho to phir
itna socha kyon karte ho
kal aaina puchh raha tha
aise tuta kyon karte ho


mujh ko chaho mujh ko socho
sab se bola kyon karte ho
28930 viewsghazalEnglish