izzat unhen mili wahi aaKHir baDe rahe
By wasif-dehlviNovember 24, 2020
izzat unhen mili wahi aakhir bade rahe
jo khak ho ke aap ke dar par pade rahe
ai dost mughtanim hain wo muradan-e-ba-waqar
usrat mein bhi jo aan pe apni ade rahe
payab ho ke sail ne un ke qadam liye
manjdhaar mein jo panw jamae khade rahe
padti nahin har ek pe us ki nigah-e-naz
saqi ke aastan pe hazaron pade rahe
apnon ki talkh-goi ki lazzat na puchhiye
bhaale se umr bhar rag-e-jaan mein gade rahe
manind-e-sang-e-mil dikhai har ek ko rah
lekin khud apne panw zamin mein gade rahe
zalim se ek bose pe barson rahi hai zid
aakhir tak apni baat pe hum bhi ade rahe
shayad ki multafit ho koi shahsawar-e-naz
kis aarzu se hum sar-e-manzil khade rahe
fitne bahut hain but-kada o khanqah mein
achchhe rahe jo dasht-e-junun mein pade rahe
'wasif' ka intizar tha sahra mein baad-e-qais
kante bhi muddaton yunhi pyase pade rahe

61223 viewsghazal • English