jab kisi se wafa kare koi

By ghamgeen-qureshiJanuary 11, 2022
jab kisi se wafa kare koi
dekh kar kyon jala kare koi
zindagi kyon ho waqf-e-dair-o-haram
mai-kade bhi chala kare koi


jab gham-e-zist se nibah na ho
aarzu-e-qaza kare koi
hijr mein tere ai pari-paikar
kab tak aansu piya kare koi


jab andhera ho chaar su 'ghamgin'
dil jala kar chala kare koi
48624 viewsghazalEnglish