jagna raaton mein yaadon ke bhanwar mein Dubna
By meem-sheen-najmiMay 2, 2021
jagna raaton mein yaadon ke bhanwar mein dubna
wo dil-e-muztar ka sail-e-chashm-e-tar mein dubna
pahle apne nafs ki mismar karni hai fasil
aur us ke baad hai kar-e-digar mein dubna
bhar liya aankhon mein dariyaon ko dariya ke liye
sakht mushkil ho gaya pani ke ghar mein dubna
aur honge wo jinhen duniya ka ho khauf-o-hiras
hum ne sikha hi nahin duniya ke dar mein dubna
aabla-pai ka mausam ras aa jata agar
kaam aa jata mera gard-e-safar mein dubna
dub ke ubhre hain hum duniya ke har majdhaar se
ab raha baqi faqat naqd-o-nazar mein dubna
dusron ki aib-jui jis qadar aasan hai
utna hi dushwar hai khud ki nazar mein dubna
jaane kis manzil pe le jae tujhe jazb-e-junun
har qadam 'najmi' tera naqd-o-nazar mein dubna

98455 viewsghazal • English